Wednesday, April 19, 2017

Aa gaya samay

Aa gaya samay
firr khud ki sudh lene ka
Rishton ki uljhi dor ko tumhare gireban se nikalne ka
Beete waqt ki yaadon ko sametne ka
Kuch tasviron ko man ki sandook mein chupane ka
Kuch aur ko zahan ki gehraiyon mein dafnane ka
Dhundli ho gayi apni parchai ko fir aaine mein saamne lane ka Naye darwazon ko dastak dene ka
Nayi raahon pe badh chalne ka